Urdu Kahani anghor khattee
Akk lomri jangle mein khane ke liye idhar udhr pher rahi thi. kafi dair ke bad ussy anghoroon ki bail nazar ai jis par anghoroon ke bahut sare ghuchay lage hoy thy anghoroon ke ghuchoon ke daikh kar uske monh mein pani aa giya anghoroon ke ghuchoon ko daikh kar wo pholy na sammai. aur zehn mein kehne lagi kyn na ajj anghoroon ka zaiqa chakha jaiy.
Lomri anghoroon ko utharne ke liye bail ke bilkul nechay aa gai.lekin bail ussy kafi onchi thi lomri ne jamp lagaya takeh ankhoroon ke ghuchoon tak ponch kar anghor uthar sake lekin lomri ka panja anghoroo tak na ponch saka aour khali hath sarr ke balll nechi aa girri. girrne se uske sar par choot lag gai choot ke lagne se uske sar me kafi dard ho raha tha lekin usne phr bhi himmat nahin harri aur phr dobara jump lagana shurru kar diya phr bhi wo nakam rahi.lomri ne anghor torne ke liye kafi jump lagaye lekin kamyab na ho saki. akhir thak kar baith gai. or dil hi dil mein kehne lagi aj tu yh naseeb mein nahin hain,
Kuch dair baithne ke bad ussy phr khayal aya kyn na ak or koshish ki jaye . usne phr se jump lagana shuru kar diya. kafi koshishain ki ta ke anghoroon tak ponch sake phr bhi nakam ho ke baith gai,
Jab ussy kamyabi na milli tu usne anghorron ko kharab kehna shuru kar diya yh anghor be zaiqa our khate hon gaye .in se main bemar prr sakti hoon, mujhe chaye in anghoroo ko chor kar kisi or khorak ki talash ki jaye. Lomri ne anghoron ko chor kar wahan se jana munasib samjha. aur wo anghoron ko chor kar dosri khorak ki talash mein chal di.
Anghor khattee nahin they na kache they balkeh itne methey they unhain daikh kar khane ka dil karta tha. lomri ko yh sab maloom tha bass dil ko samjhane ke liye usne yh sab kaha.keh anghor khattee hain. kyn ke wo anghoron tak jo na ponch saki thi.
Issi tarah bahut se log jab kisi cheez ko hasil karne me nakam ho jate hain, tu wo bhi chezon ko kharab kehna shuru kar daite hain aou un mein koi na koi khami talash karna shuru kar daite hain.
Dosto Kabi Bhi Insan Ko Himmat Nahin Harni Chaye Aur Mehnat Kar Ke Apne Maqsad Hasil Karne Chaye. Mehnat Ka Phall Zaroor Milta Hey.
0 Comments